Chapter 11
INQILAB E FRANCE K BAD
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)
Summary:
France k Inqilab aur Marx se pehle tk k mukhtalif ‘Khayali Socialists’ k khayalat, aur khayali jannat k khake . . .
1. Saint Simon (1760-1825)
2. Robert Owen (1771-1858)
3. Charles Fourier (1771-1837)
4. Charles Hall (1740-1820)
5. William Thompson (1785-1833)
6. Thomas Hodgkin (1783-1869)
6. John Gray (1799-1850)
7. John Francis Bray (1809-)
8. Barbani (1820-)
"In K Socialisn Ki Muhrak Zindagi Ki Haqiqaten Na Then Bulke In Ki Nek Khawhishen Then. Socialism In K Nazdeek Ali Baba Ka Khul Ja Sim Sim Tha. 222"
"Khayali Socialism Ka Daur 1847 Mai Khatam Hogaya. Ye Wo Sanah Hy Jb Karl Marx Aur Fredrick Engles Ki Shehre Afaq Tasnif Communist Manifesto Shaya Hui Aur Mazdoron Ki Inqalabi Tehreek Scienci Socialism K Daur Mai Dakhil Hui. 221"
Robert Owen:
Ooper dee gaii Khayalis Socialist ki list main se Robert Owen ek Extra-Ordinary banda tha … ye shuru main ghareeb tha, bad main Sarmayadar bn gaya tha, Per iski poori zindagi ek Amali Namuna thi ke Capitalism hote hue Muashre ki islaah ki ja sakti hy, aur ager buraiyan janam leti hyn to wo Capitalism se nahi bulke logon ki apni ‘Bad-Ikhlaqion’ se, yaane qasoor Capitalism ka nahi bulke Capitalists ki apni Galat Kariyon ka hy, aur ye Galat Kariyan ksi bhi cheez main hongi to us ko bhi ganda kardengee … ager ye bad-iklaqiyan islam main hongee to islam bhi bura kehlaiga, socialism main hongee to socialism bhi bura ban jaye ga … [yaane asaan lafzon main ager main buhut mehngi Land Cruiser chalaon per galat driving karon to iska matlab ye nahi ke mujhe se land cruirer chhen lee jaye ye keh kar ke tum galat driving kar rahe ho. Bulke iska hal ye hy ke mujhe sahi driving sikhayee jaye ya sahi driving ke talqeen ki jaye kam se kam, aur ager mujh se chheen kar dosron ke haathon main de di jaye to ye mas’ale ka solution nahi, kyon ke doosron ki bhi koi guarantee nahi ke aya wo sahi drive karegen ya nahin !!! phir ager baat sahi driving ki hay to ye asool phir sab pe aaid hota hy, sirf ‘land cruiser’ chalane walon per hi nahi, bulke jo cycle chalaye ga us per bhi, ager galat chalaye ga to cycle chalane wale ki bhi ‘kan koshi’ ki jaye gee!!! ]
Robert Owen ko Khayali Socialist wese bola bhi nahi jaa sakta (wese owen ko socialist hi nahi bola ja sakta, wo to capitalist tha) , kyon ke Robert Owen ne amali tor per cheezon ko behtar banane ki poori poori koshish ki thee, us ne mazdooron se rayat barti thee, mazdooron ke kaam ke auqat ko kam kar diya tha, kam umar mazdooron per rayat barti the, … …. … waghera waghera … aur doosre Capitalists se bhi mazdooron ke saath naram rawaiyya aur un kee haalat-e-zindagi behtar banane ki talqeen karta rehta tha … wo ye theory unko pesh kart tha k: ager tumhare mazdoor sehatmand aur khushhaal honge to tumhare ii kaam behtar hoga !! ye theory Owen ki sirf khayali theory hi na thee bulke us ne isko Saabit kar ke dikhaya tha. (for details read the chapter)
Excerpts
--> Chunache 19ven Sadi Ki Ibtidai 50 Barson Ko Agar Hum Inqilabon Ka Ahad Kahen To Galat Na Hoga. 183
--> Magar In Main Se Beshtar Socialist Danishwar Mehnat Kashon Ki Tabqati Jidojahad Ke Haq Main Na The Aur Na Sarmayadari Nizam Ko Mazdoor Inqilab Ke Zariye Neest O Nabood Kar Ke Socialist Nizam Qaim Karna Chahte The. 183
--> Saint Simon Ke Mansoobe Shaikh Chilli Ke Mansoobe Se Kam Na The. 187
--> Machinee Daur Se Pehle Pedawar Aur Abadi Ka Tanasub Barabar Tha (1:1) Lekin 1792 Aur 1871 Ke Darmayan Macheeni Pedawar Abadi Se Baara Guna (1:12) Zyada Hogai. 192
--> “Ese Halat Peda Kiye Jayen Ke Qaumi Farz Aur Zaati Mafad Ek Doosre Se Mil Jayen. Logon Ko Jismani Aur Zehni Salahiyaten Un Ke Liye Mufeeed Hon Aur Muashire Ke Liye Bhi” , Robert Owen. 192
--> (Robert Owen Ke Dastaweeze Sharait). Page. 193
1. Dolat Mandon Aur Muhtajon, Hakimon Aur Mehkoomon Ka Mafad Dar Haqeeqat Ek Hi Hy.
2. Oonche Tabqe Ke Log Na To Mazdooron Ki Tazleel Chahte Hyn Aur Na Unhen Mehkoom Bana Kar Rakhne Ke Arzoo Mand Hyn.
3. Aqal Ki Poophat(پوپھٹ) Rahi Hy Aur Jun Hi Aqal Ka Sooraj Namoodar Hua Dunya Ki Sub Kalafteen Door Hojayen Gee.
--> Unheen Dinon (1819) Bartaniya Main Muashi Buhraan Ke Saath Maali Buhraan Bhi Shuru Hua. Beshumar Bank Deewaliya Hogaye Aur Hukumat Ko Majbooran Kaaghaz Ke Note Chhapne Pare. Owen Ne Is Sikka Jati Buhran Se Ye Nateeja Akhaz Kiya Ke Muashirati Kharabiyon Ki Zimmah Dari Zar-E-Mubadilah Aur Sikkon Ki Gardish Per Bhi Itni Hi Aaid Hoti Hy Jitni Dolat Ki Galat Qisim Per. 193
--> Her Shakhs Doosre Ka Dushman Hogaya Hy. Page. 197
--> Ager Mazdoor Ko Ye Maloom Hojaye Ke Factory Ya Form Main Iska Bhi Hissa Hy To Wo Zyada Tundhi Se Kaam Karega. … Wo ‘Meri’ Zameen, ‘Meri’ Imraten, ‘Mere’ Jangal, ‘Meri’ Factory Keh Sakta Hy Kyon Ke Ye Chezen Juzvi Tor Per Us Ki Milkiyat Hongi. 200
--> Dolat Mazdoor Peda Karte Hyn Mager Is Pedawar Main Un Ka Hissa Kitna Hota Hy. 205
--> Magar Haqeeqat Ye Hy Ke Socialism Ka Daur 1847 Main Khatam Hogaya. Ye Wo Sanh Hy Jub Karl Marx Aur Fredrick Engels Ka Shahar Afaaq Tasneef Communist Manifesto Shaya Hui Aur Mazdooron Ki Inqilabi Tehreek Scienci Socialism Ka Daur Main Dakhil Hui. 221
--> Jahan Tak Zaati Milkiyat Ka Sawal Hy To Shayad Hi Koi Khayali Sochialist Esa Hoga Jis Ne Zarai Pedawar Zameen, Factory, Kanen, Beema Companiyan, Railway Waghera Ki Zaati Milkiyat Ko Jee Bhar Kar Bura Bhala Na Kaha Ho. Albatta Wo Is Sawal Ka Saheeh Jawab Na De Sake Ke Zaati Milkiyat Ke Nizam Ko Kon Mansookh Kare Aur Kese? 222
--> Inke (Khayali Socialist Ke) Socialism Kisi Muhrak Zindagi Ki Haqeeqaten Na Then Bulke In Ki Nek Khuahish Theen. Socialism In Ke Nazdeek Ali Baba Ka Khul Ja Sim Sim Tha. 222
________________________________
Yahan tak hum sirf Mazi ka Jaiza le rahe the, mukhtalif tehzeeb o cultures main mukhtalif ryasati nizam ka tajziya kar rahe the, hum un main sahi ya galat nhi dhond rahe the aur na hi un main socialism talash kar rahe the, hm mahaz tareekh ka jaiza le rahe the k akhir Marx tak puhuchte puhuchte Tareekh kin oonch neech se guzri. Is chapter k baad Marx peda hoga, aur Tareekh (ryasati nizam ke tehat) ek naye daur main dakhil hogi …
No comments:
Post a Comment