Chapter 20
EUROPE MAI INQILAB KI NAI LAHAR
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)
Summary:
"Communist Manifesto ki asha'at ko abhi chand din guzre the k Europe mai ek bar phr Inqilab ka ghalgha buland hua aur ibtida hasbe mamool Paris se hui. 364"
ye halka phulka inqilb na the is mai kai logon ki janen gai, 39 39 sal se jo dictators kursi pe bhethe the unhe mulk bhaag kr chhorna para.
Marx o Engels b France ki Inqilabi sargarmiyon mai shamil hone ka soch rahe the. Per abi ye soch i rahe the k German hukumat ne Marx ko 24 ghante mai mulk badar hone ka sandes de diya. Aur 24 ghante b na guzre k unhe pakar liya gaya. Aur saman bandhe bgair mulk chhorna para.
. . . .
"Marx aur Engels the to Paris mai magar in ka Dil Germani Inqilab mai laga hua tha. 368"
"Marx aur Engels ne Awaail April mai Germani jane ka fesla karliya take communist party ko amali jame'a pehnane k lye mehnat kaaron ki ek inqilabi tanzim bnai jaye.370"
"isi maqsad k tehat Marx aur Engels ne ek dastavez 'Germani mai Communist Party k Mutalebat' k nam se martb ki. 369"
in mutalebat k glimpse page 369 per parhne laiq hyn.
Apni Fikr ko logon tk puhchane k lye inhon ne ek ikhbar 'Neue Rheinische Zeitung' ka b yakam Jun 1848 se ijarah dari kr di.
Per bat Us janib chali nhi.
"lekin abhi saal khatm na hua tha k inqilab dushman qoowaton ne azadi ki tehreekon ko fauj ki madad se kuchal diya. Europe mai jabr tashadud ka naya daur shuru hua aur Italy, Hungry, Poland, Germani, aur France k hazaron jamhoriyat pasandon ko bhag bhag kar Bartania ya Amrica mai panah lena pari. 371"
aur Marx k b khilaf 33 muqaddme qaim hue jo sabit na ho sake, Akhbar per pabandiyan lag gai, aur mulk badr noshta jari hogaya.
"us waqt Marx k pas itni raqam bhi na thi k bivi bachon ko sath le jata lehaza us ne Jeni ko jo hamila thi wohen chhora aur 24 Aug ko London ki rah li. jeni ko bari mushkilon se 15 Dec tk Paris mai therne ki ijazat mili. Marx ab k London esa gaya k phr hamesha waheen ka ho raha. 372"
(Marx ne ) "ye bat wazeh krdi k Inqilabi Amal itna hi zaroori hota hy jitna Inqilabi Nazriya waza karna ya Kitaben likhna. Unhone ne 1848 tk apna zyada waqt Scienci Socialism k usool waza krne mai sarf kiye the. 1848-1849 k darmayani muddat unhon ne in Usoolon ko Sayasi Zindagi ki Kaswati per Parakhne mai Guzari. 373"
No comments:
Post a Comment