FIKRism

Wednesday, December 16, 2009

Chapter 08_Thomas Moore Ki Utopia

Chapter 08
SIR THOMAS MOORE KI UTOPIA
(Musa se Marx tak by Sibte Hassan)

Summary:
Sir Thomas Moore (1478-1535) ki ishtaraki mahol ki tashkil kashi per (man ghart/fictious) story per book. Utopia ... Jiska Socialism mai acha nam hy ...
Is utopia k kuch ideas to shandar hyn. [jese sbhi log kam krte umuman kheti bari, aur din mai mehz 6 ghante kam krte baqi ka waqt apne pasand k mashgalon mai surf krte, is default kaam: kheti bari k elawa sb ko koi aur fun seekhna hota, jis mai aksar apne aabayi kam seekhne ko i pasnd krte, shehroun ki maximum abadi muaiiyin ki jati (6000) agr tajawuz krti to alag bastiyan bna li jati. Khana aksr elaqe k Jame'a Bawarchi khane mai tayar hota (is hisab se ksi ko ye gam na satata k wo bhookha marega) agr koi apna alag tayar kare to pabndi nhi]…

Per kuch ideas per Etraz ho sakta hy [jese shadi se pehle larka larki ek dusre ko barhana kr k dekh sakte (take muqs o khami ashkar hojaye!), ghar ksi ki milkiyat na hote (waqtan fa waqtan gharon ki exchange hogi) waqtan fa waqtan sheher wale gaon, gaon wale shehron mai ja base ge!]

Kher + - jo bhi. Per ye mehz ek bnde ki soch per apne kuch ideas the na k Tareekhi Haqaiq.
Per sb se bara sawal jo Sibt Sahab khud karte hyn
"Lekin Sawal Ye Hy K Is Qism Ka Ishtaraki Muashira Kese Qaim Ho Aur Kaun Qaim Kare?. 146"
is sawal ka jawb sibt hassan khud likhte hyn k Afltoon ki Republic se lekar Thomas Moore ki Utopia tk sbhi Jannat e Arazi k khawb dekhne wale mufakkaron ki dukhthi rag yehi (sawal) hy. !!!

Excerpts
-->
Utopia Main Shadi Se Pehle Larka Larki Ek Doosre Ko Barhana Karke Dekh Sakte Hyn Taake Jismani Aib Pata Chal Jaye. 140

--> (Utopia Ke Log) Rawaqiyon Ki Mannd Jism Ko Eeza Dene Ya Faaqa Aur Ryazat Ke Sakht Khilaf Hyn. … Un Ke Nazdeek Musarrat Aur Shadmani Ki Zindagi Wo Hy Jo Fitrat Ke Ain Mutabiq Ho. 141

--> Kisi Ki Majal Hy Ke …. Page. 142

--> Sir Thomas Moor Ka Khayal Hy Ke Dolat Ki Hawas Ek Esa Marz Hy Jo Insan Ko Zehni Sukoon Aur Roohani Musarraton Se Mehroom Kardeta Hy. 143

--> Sir Thomas Moor Buhut Ghaur O Fikr Ke Baad Is Nateeje Per Puhunchta Hy Ke Tamam Kharabiyon Ke Jar Zaati Milkiyat Hy. 143

--> Wo Pehle No-Shehron Ki Abadi Ki Ek Had Muqarrar Karta Hy Take Koi Shahar Karachi Ki Tarah Itna Bara Na Hojaye Ke Us Ka Langar Sanbhale Na Sanbhle. 145

--> Magar Ravaqiyon (رواقیوں) Ki Mannd Utopia Ke Bashande Zindagi Ko Wabal-E-Jaan Nahin Samajhte Bulke Zindagi Se Lutf Andoz Honte Hyn. 145

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...