Communist Manifesto
Chapter 2
PROLTARIA AUR COMMUNIST
Excerpts and Comments
.
"Behesiyate Majmooi Proltari Tabqe Ke Mafad Ke Siwa Aur Is Se Juda Inka (Communist ka) Koi Mafad Nahi. 45"
.
"Communism Ki Imtiazi Khusoosiyat Umoomi Milkiyat Ko Nahi Bulke Bourzwa Milkiyat Ko Mitana Hy. 46"
.
[Marx n Engels, MILKIYAT (Jo mazdooron ki peda ki hui hy per dusron ke hathon mein hy) jar se i ukhar dena chahte hyn. (yane na tera na mera), ye chez pehli bat to (raza khushi) se hone wali nhi, dusri bat agr (jabrn qatl gharat se) ho gai to zyada der tikne wali nhi. (aur shayad ye Fitrat k khilaf b hy. Fitrat dobara logon ko usi rah pe le ayegi jahan se ye ho aye!). Kyon ke ye Jang hyn, aur Jang main Aj Iski fatah to kal Uski fatah, Jang main cheezen Khatam nahin hoti, bus Halton k haathon majboor hokar tham jati hyn, jo waqt aane per dobara Ubhar uthti hyn!(Jiski misal khud Socialism ki Tareekh hy). Sahi Usool Ye Hy Ke Bourzwa (bulke hr tabqe ko) Apni Milkiyat Mein se Percentage ki Soorat Me Ek Raqam Ada krni Chahiye. Aur Is Tarah 'Jama Shuda' Raqam dobara Re-circulate hoti rahegi!]
.
"Aur Is Soorat Hal Ka Mit Jana, Borzwa Tabqe Ki Ziban Mein, Infaradiyat Aur Azadi Ka Mit Jana Hy! Aur Bat Ek Had Tak Thek Bhi Hy. Is Main Koi Shak Nahi Ke Hamara Maqsad Bourza infradiyat, Bourzwa Khud-Mukhtari aur Bourzwa Azadi ko Mita Dena hy,.. Pedawar ki maujoodah bourzwa halton mein azadi ka matlb hy Tijarat ki Azadi, Bechne aur Kharedne ki Azadi. 48"
.
"Bourzwa Tabqe Ki Nishonima, Tijarat Ki Azadi, Alamgeer Mandi, Tareeqa Pedawar Aur Us Se Muta'leqa Halaat Zindagi Donon Ki Yaksaniyat Roz Baroz Qaumi Imtiaz aur Ikhtalafat Ko Mitati Jati Hy. 52"
-Ager Esa Hy to Phr Ye Chez to Durust Hy, Ye Chezen Type 1 Civilization ki Alamaten Hyn.
.
Page. 53-54-55
"...Inqilab Mein Mazdoor Tabqe Ka Pehla Qadm Proltaria Ko Hukmuran Tabqe Ki Jaqa Per Puhunchana Hy.
Proltaria Apne Syasi Iqtidar Se Kam Le Kar, Rafta Rafta Poora Sarmaya Bourzwa Tabqe Se Chheen lega. 53-54"
_____________________
Poore Chapter Main Hamain Dobara ek Hi Cheez milti hy:
Proltaria vs Bourza (a blind battle)
Chapter ke aakhir main Communism ke Manshoor ke jo chand points ginwai gai hyn unko Marx n Engels ne khud khud hi naaqas aur naaqara qarar de diya.
[jis ko Next Post main wazeh kiya ja raha hy.]
No comments:
Post a Comment