Tareekh Ka Naya Mor
Ali Abbas Jalalpuri
Chapter 2
FIKRI TANAZIR
>ISHTEMALIYAT KI RAVAYAT
__Khayali Mufakkaron Ke Jannat e Arazi ke Khayali Khake . . .
.
>JADALLIYAT
__Kainat Mutaharrik hy. Koi b amal 2 bar repeat nhi hota. Aur hr chez ki pehchan uski zid se hy.
"tm ek hi nadi me 2 bar paon nhi rakhte. 47"
"yunaniyon k han jadaliyat ka mafhom ye tha k hr she tagaiyyur pazeer hy aur apni zid se qaim hy."
.
>MADIYAT
__"Falsafe ka aghaz madiyat se hua" jis ki shurwat greek philosophers ne qareeb 650 qabl maseeh se ki.
Yahan se philosophers 2 theories me bat gaye. Ek madiyat (materialist), Do misaliyat (idealist)
page. 51, 52, 56
ekon ne ek theory pesh ki, dusron ne ekon ki zid me theory pesh ki, teesron ne unki zid pesh ki aur game chalti rahi . . .
-18ven sadi k Qamoosi filasifa. 54
-Kaant ne Qamoosi filasifa ke radd me qalam uthaya. .. falsifiye Romaniyat ka aghaz hua. Fichte, Nietzche, Latse. Is romani tehreek k pedawar the.55
-19ven me sadi me maade ki nai definition gai. K. Mada aur Energy mutabadil hy. 56
-Aflatoon, Kaant, Shalair Makhr, Latse, Bargasan, Bishop Barkle, Eyokan. Idealist the. 57
.
Comments
'Misaliyat Pasandon ne Qudratan Muashre ko Badlne ki Koi Tameeri aur Masbat koshish nhi ki. Jb ke Madiyat Pasand alame madi ko haqeeqi samajh kr. Badla. Aur science ne herat angez tarakki ki. 57'
.
Misaliyat Pasandon ne ager Muashre k badalne me hissa nhi liya to is me qasoor misaliyat pasand ki apni zati fikr ka hy na ke IDEALISM ka!
Kya islam me ye nhi ke.. Khuda usi ki madad krta hy jo apni madad ap krta hy.
.
Pure Idealist aur Pure Materialist dono i galat hyn!
Ye dono pehlu kainat ka hissa hyn!
Ye Khuda ka system hy. Jis me ek pehlu wo hy jis ka adraak hawas e Khaamsa krte hyn.. Aur ek pehlu wo jisko.. INTUITION, Insan ka Shaoor aur La-Shaoor i janch sakta hy. Unka samajhna hawase khamse ki samajh se bahar hy.
Jis trah Zahiri Dunya rules o regulations ki paband hy (physics, chemistry, biology, astronomy, math . . . k rules, k jis k barkhalaf koi b madi dunya ki chez kam nhi krti). Isi trah Batini Dunya b rules o regulations ki paband hyn. Jo yaqenan kam krte hyn per materialist logon ki to samajh se tehre, kyon k hawase khamsa to unka adrak kr skte nhi!
[dono jaga (hr jaga) rules Khuda ke i bnaye hue hyn insan ke asani k khatir, ager Wo chahta to bgair rules k dunya chal sakti thi.]
.
MISALIYAT wali dunya zyada bari hy.. Aur yehi Haqeeqi hy . . .
Maadi Dunya ki ye halat hy k.. Agr facts n figures se bat karen to ‘Kainat’ ko aaj, 21ven sadi (sal 2010) main mahz 4% i khoja ja saka hy! Jb ke khud Hamre Earth Globe ka bara hissa un-explored aur khufya hya jese samandar ke teh aur gehre gaar.
Hawase Khamsa ki ye halat hy k.. Hamare Kaan buhut bari frequency me se Buhut Chhota sa hissa Sunne k laiq (audible) hyn, hamari Ankhen Sirf Colors dekhti hyn. Usme se b tez roshni aur ghup andhera nhi dekh sakti, aur kai bar dekhne main dhokha khati hyn, (hota kuch hy dikhta kuch hy (illusion)), hamari Naak to biologicaly sb se kamzor tareen his hy, hamare hath aur ziban ksi chez ko tb tk chhoo ya chakh nhi skte jb tk wo qareb na ho, itna qareeb k jism se mila hua, aur khud (chhona aur chakhna) ksi chez ko kulli samajh nhi sakte jb tk doosre hawas ki madad na len. [warna hathi k pet ko hath laga kr bol diya jayega k hathi deewar jesi hy aus soond ho hath laga kr bol diya jayega hathi saanp jesa hy !!!]
No comments:
Post a Comment