Tareekh Ka Naya Mor
Ali Abbas Jalalpuri
Chapter 4
JADLIYATI MADIYAT
.
__
Comments:
"unhon ne misaliyat pasandon ka ye dawa rad kr diya k mushahide aur tajurbe ke bgair bhi zehn bazate khud ilmi sadaqataon tk puhunchne ki qudrat rakhta hy. 72"
"marx aur engels ye keh kr bat ko aage barhaya ke muqtadir tabqa mazhab ki trah misaliyat se bhi apne khususi mafadat ke tahaffuz ka kam leta rha hy. 72"
- is jumle me se islam kharij hy. Islam ne ksi b ryasati nizam per jan boojh kr (sahi k tor per) ungli nhi utahi, warna log bolte ke islam b makhsoos tabqe ke mafad ka qail hy . . .
[bulke her Asmani Mazhab isi ravish ka qail hy, Moosa ne Firoun ko uski badshahat se dast bardar hone ko na kaha, aur Eesa ne kaha, "Khuda ko uska haq do aur Ceaser ko uska." asmani mazahib mazahib nhi bulke taleemat hyn, per logon ne un taleemat ki bunyadi fikr ko bad me bdal diya ager bdla na b hota tb b wo (islam ke elawa) Khuda k nazdek (pehle mazaahib) 'Expired' bn chuke the. Khuda ki taraf se ye Expiration khud is bat ki daleel hy k Kainat mutaharrik hy aur apni Irtaqai manazil te kr rhi hy, is lye logon ki talemat me waqtan fawaqtan tbdeeli aur modification lazmi hy. Per Islam ko Khuda ne esa bnaya k Rasool k bad hr daur aur hr qaum k liye mauzoon hy. Aur Rasool (saww) k bad 12 imamon k zariye IJTEHAD ka darwaza khula rakha, imam Gaaib (af0 k zamane me gair masoom ki taraf rujoo ki ijazat di gai.]
.
"maada shaoor per muqaddam hy aur shaoor made hi ki ek siffat hy kyon ke shaoor maghz sar ka fa'l hy aur maghz sar madi hy. marx. 74"
-maada shaoor per muqaddam nhi. Aur na hi shaoor ka taluk kulli tor per maghz se hy. Ager esa hota to Aaqil o Jaahil _ do mukhtalif o mutazad chezen hamare muashre me na milti bulke sbhi log Yaksan Zehn o Soch k hote. Kyon ke Maadi tor per sb logon ka Dimag ek jesa aur ek hi size ka hy !!!
.
"jadliyati madiyat ke ro se alame madi do qism ki ashya per mushtamil hy. 1. Wujud: jo asal hy aur. 2: Fikr o Shaoor jo iski Fara' hy."
-
Marx ke is quote se saabit hy ke Madiyat aur Misaliyat dono is Dunya ke hisse hyn, Lazim aur Malzoom ki tarha, Jism or Rooh ki tarah, bus faraq itna hy ke Marx k nazdeek Jism Asal hy aur Fikr Fara’. Halanke Haqeeqat iske Ulti hy.
Science jese jese Tarqqi Kare gee wese wese Madiyat se Misaliyat ki taraf barhe gee.
19ven sadi main Matter Energy main convertible hy, Rooh 25 gram ka hy, Black Matter & Black Energy (jo kainat ka 96% cover kiya hue hyn) atom se nahi bana … khud is baat ki taraf ishara hy ke her cheez maada nahin. (bulke maada ki miqdar to qareeb qareeb negligible hy!!!)
No comments:
Post a Comment